Dosto Aaj hum Email ke bare me baat karne wale hai aur email kya hota hai email id banane ke liye konsa platform sabse achcha hai aur gmail par email id kaise banaye yah sab aapko is post me janne ko milne wala hai to chaliye hum is post ko shuru karte hai. Yah ek esa samay hai Jaha par Email id kitni jaruri hai yah to hum sab jante hai aur iske bare me jyada batane ki jarurat bhi nahi hai par fir bhi internet ka upyog karne wale logo me sabhi ko email id ka matlab pata nahi hota hai jabki hum agar internet chalate hai to hume yah pata hona chahiye ki, email id kya hai aur iska kya upyog hai.
Agar aap school ya collage me bhi hai to aapko email id ki jarurat padhti hai iske alawa bhi jitne sarkari document bante hai waha bhi hume email id lagti hai. Aaj ke samay me bahut sari jagah me email id ka hona jaruri ho gaya hai isliye hum pahle thoda bahut email id ke bare me janenge aur uske baad hum email account banane ke bare me janenge.
Email id (Google Account) kya hai janiye
Dosto Hum email id hamari ek virtual id hoti hai ise hum ek Tarah Se internet ki Chabi bhi kar sakte hi Kyunki Bina email id ke Ham internet par bahut Sare Kam Nahi kar paate Hai isliye Agar Ham internet chalate Hai to hamare Pass email ID ka Hona bhi bahut jaruri hai email ID ka kam sirf message bhejna mail bhej Nahi hota hai Iske alava bhi bahut Sare kam me email ID ka upyog Kiya jata hai Vaise to bahut sare platform hai jaha par email id ko banaya ja sakta hai par email id banane ke liye gmail sabse best rahta hai isliye hum aapko gmail par email id banane ke bare me bata rahe hai. Chaliye ab Ham Jyada Samay nahi lenge aur computer me google account kaise banaye sidha iske bare me jaan lete hai.
Computer me Google account/Gmail id kaise banaye
- Apna pahla naam dale.
- Apna aakhri naam daliye.
- apne gmail account ke liye username dale.
- Ek bhadiya sa password dalna hai.
- Password ko confirm karne ke liye fir password dale.
- Next par click kare.