Control Panel aaj ka hamara topic hai agar aap computer ka upyog karte hai aur aap computer ko achche se chalana sikhna chahte hai to yah jaruri hai ki aapko control panel ki jankari hona chahiye kyoki control panel ki madad se computer me bahut sare kaam kiye jate hai. Control panel ke andar aapko apne computer se related sabhi settings dekhne ko mil jati hai. Yaha tak ki agar computer me kuch problem hoti hai usko thik karne ki settings bhi hume control panel me dekhne ko mil jati hai.
Agar aapke computer me mouse kaam nahi kar raha hai to iska solution isi me dekhne ko milta hai yaha tak ki aapke computer me konsa windows hai cpu ki jankari aur bhi bahut sari esi baate hai jinke bare me hum control panel ki madad se jaan sakte hai. Aaj hum control panel ko thoda detail se janne wale hai to chaliye sabse pahle hum control panel ki defination jaan lete hai.
Control Panel kya hota hai janiye
Computer System me Control panel Multiple Program ka ek group hota hai. Control panel ko C-Panel bhi kaha jata hai. Iska Upyog System & Security, Account Setting, Network Setting, Font Setting, Hardware, Internet Setting, User Account Setting ko manage aur control karne ke liye kiya jata hai. Control Panel ki madad se Hum apne pure computer system ko apne hisaab se manage kar sakte hai. Iski madad se hum apne system ki security ko bhi control kar sakte hai iske alawa aap apne computer me kisi bhi program ko nikal sakte hai aur install kar sakte hai. Control panel me hume bahut sare features dekhne komilte hai hum aapko in features ke bare me batate hai.
Features Of Control Panel in Hindi
Internet and Network Setting
Computer ka upyog hum internet ko access karne ke liye bhi karte hai to computer me internet chalane ke liye aapko kuch settings karna hoti hai jo hume is option me dekhne ko milta hai aur agar aapke network ya internet me koi problem hoti hai to uske liye aapko control panel ke is feature ka upyog karna hota hai. Aapko is option me Wifi Hotspot, dongle sabhi settings dekhne ko milti hai jinhe aap manage kar sakte hai. Yaha par apne computer me internet ki puri settings ko control kar sakte hai.
Personalization
Personalization ek esa feature hai jo ki computer ki home screen me changes karne ke liye upyog kiya jata hai. Isme aapko computer me windows background change karne ke liye option dekhne ko milte hai iske alwa computer ke colors ko bhi yaha se change kar sakte hai itna hi nahi agar aap computer me koi new theme upyog karna chahte hai to iska option bhi personalization me dekhne ko mil jata hai.
Troubleshooting
Windows me aane wale error ko thik karne ke liye hum is feature ka upyog kar sakte hai. Troubleshooting ki madad se aap software me aane wale error ko bhi thik kar sakte hai. Aapke computer me windows 10 hai aur computer me bahut sare software insalled hai aur ab aap old windows ko new windows me upgrade kar lete hai. Ab yaha jo aapke computer me software install the jo old windows me kaam kar rahe the par new windows me kaam nahi kar rahe hai to ese me aap unhi software ko new windows me troubleshoot madad se chala sakte hai.
Dosto iske alawa bhi bahut sare features hume control panel me dekhne ko mil jate hai jinke bare me hum baad me janenge. Aaj humne control panel ke bare me bahut kuch jana aur sikha hai. Aap control panel ke bare me kuch janna chahte hai to hume bata sakte hai hum aapko uski jankari jarur denge. Aapko lagta hai ki yah post helpfull hai to aap apne dosto ke sath iske bare me jarur share kare isse hume bhi apni mehnat ka reward mil jayega aur aapke dosto ko bhi control panel ke bare me janne ko mil jayega.